Zong Sim Number Check Code & Details

0
Aj ki ye post un tamam dostu ke liye bohat hi helpful aur interesting hone wali hai kyun ke is post main na sirf Zong network ka balke other network ka bhi sim check code share kiya jaye ga.

So friends, is post ko last tak zarur parhein taa,ke ap ko ache se samajh asake. Hum aksar apni sim ka number bhool jate hain aur is ki bohat si resons ho sakti hain.

Lekin ab pershani ki baat nahi kyu ke ap neeche diye gaye specific code se bina kisi balance ke apna sim number maloom kar sakte hain.

Aur kuch aisi tips & tricks bhi share karunga jinhain follow kar ke ap apna sim number nahin bhoolein ge yani wo note ho jaye ga ap ko.
Zong Telenor Jazz Ufone Sim Number Check Code
Is post main ap ke saath Zong, Telenor, Jazz aur Ufone network sim ka number check karna ka mukamil method bataya jaye ga jise ap follow kar ke apna number bhi maloom kar sakte hain aur ye method apne dostu ke saath bhi share kar sakte hain.

Ap ke shanakhti card par kitni SIMs hain aur un ki tadad kitni hai ye method bhi ap ko neeche bta diya jaye ga ap ki mazeed maloomat ke liye.

Ager ap Zong user hain aur tamam latest internet packages ya other packages ki mukamil tafseelat janna chahte hain tou ap bilkul sahi jagah par hain ap ko yaha almsot sabhi bundles ki mukamil jankari mil jaye gi.




Zong Sim Number Check Code

Bohat se methods hain jin se ap apna mobile number maloom kar sakte hain wo bhi bari asaani ke saath aur har network kar apna method hai aur eik unique code hai.

Aur zong par ap command type kar ke apna number jaan sakte hain jis ka mukamil tarika ap ko neeche bata diya jaye ga jise follow kar ke ap easily number jaan sake ge apna.

Aur is par ap code dial kar ke number nahi check kar sakte balke eik command type kar ke ap ne apna number by SMS hasil karna hai.

Method 1 Sab se pehle message box open karein uske baad ap ne "MYNO" likh kar 777 par bheijna hai uske baad ap ko eik message receive hoga jis main number hoga. Yaad rahe ke jis zong sim ka number maloom karne chahte hain usi se message bhi bheijein. Is ke liye ap ke pas Rs.2 ka balance hona zaruri hai kyun is method se ap ke charges lage ge.

Method 2 Ager ap android phone istemaal karte hain tou ye ap ke liye aur bhi asaan ho jayega. Ager old version hai tou shaid ye trick kaam na kare lekin ap try zarur karein aur har mobile ke different tarika hota hai lekin procedure same hoga. Aur is se ap na sirf Zong balke kisi bhi other network ka number bhi maloom kar sakte hain iske liye sab se pehle Setting ko open karein uske baad SIM Card ya Mobile Network option search karein jaise hi ap is option par click karein ge number samne display ho raha hoga.

Method 3 Ye bohat hi simple method hai aur is se ap ka number bhi long term ke liye save rahe ga. Is ke liye ap ne har network ka official app zarur download karein for example ager ap Jazz user hain tou Jazz World application karein isi tarah aur networks ki bhi apni official app hai. Zong ke liye MyZong app hai isey download kar ke is main login kar lein is tarah ap ka number bhi save rahe ga aur jo bhi ap package subscribe karein ge uski resources ki mukamil information bhi miley gi.




Jazz Sim Number Check Code

Jazz bhi ek bohat bara network hai jis ke bohat zyada users hain jo iske packages subscribe karte hain aur iski behtreen services istemaal karte hain.

Aur ye network bhi internet ki hi wajah se bohat popular bhi hai yani mostly loug isey internet ke liye hi istemaal karte hain kyun ke iski internet speed baki network ki muqable main kafi fast hai.

Ye network super 4G hai ager ap Jazz 4G ke user hain aur apni jazz network sim ka number bhool gaye hain tou ap neeche diye methods se iska number ba,asani maloom kar sakte hain.

Har network ka apna ek unique code hota hai jisey dial karte hi ap specific network ka sim number maloom kar sakte hain.

Method - Jazz sim number check karne ke liye *99# code dial karein within a second ap ka Jazz number display ho jaye ga bilkul free. Yani iske liye ap ke pass balance ka hona zaruri nahi. Aur ager ap chahte hain ke apka ye number save rahe aur us pe jo package ap subscribe karein uski mukamil usage details ap ko milti rahein tou Jazz World app download karein aur us main login karein.

Ye tha jazz sim number check karne ka tarika aur uper btaye gaye tarike se bhi ap apna number maloom kar sakte hain. Almost sabhi methods working hain ap koi sa bhi method follow kar sakte hain.




Telenor Sim Number Check Code

Telenor bhi ek bohat popular network hai jo ap ko har tarah ki services provide karta hai jaisa ke call, sms aur internet wagera aur iska istemaal mostly call packages ki wajah se hai.

Telenor hamesha se apne sarfeen behtreen call services provide kar raha hai aur iske bhi kafi zyada users hain. Ager is network ki sim istemaal kar rahein hain aur iska number bhool gaye hain.

Tou pershani ki koi baat nahi ap iska number maloom kar sakte hain sirf eik code dial kar ke ap ko iska mukamil method neeche bata diya jaye ga jisey follow kar ke ap iska sim number check kar sakte hain.

Method - Telenor ka sim number check karne ke liye dial karein *8888# code aur within a second number ap ko bta diya jaye ga iske elava ap iski My Telenor App bhi istemaal kar sakte hain jo ke ap ke liye best rahe gi. Ap daily reward bhi hasil kar sakte hain is pe quiz ka answer de kar aur download kar par ap ko free resources bhi milein gi.




Ufone Sim Number Check Code

Ufone tum hi tou ho ye bhi eik behtreen network hai jo apne users ko behtreen sercices provide kar raha hai jis main internet, call aur sms wagera. 

Is ke bhi bohat zyada users hain jo ke isey istemaal karte hain aur packages subscribe karte hain ye baki networks ke tarah logun main zyada popular nahi hai.

Ager ap Ufone ki sim istemaal kar rahe hain aur kisi wajah se iska number bhool gaye hain tou neeche diye gaye method ko follow karein aur apna number maloom karein.

Methods - Ufone sim number check karne ka method bhi baki networks ki hai lekin iska code different hai iska number maloom karne ke liye dial karein *1# code.





How Many SIMs Are Registered Against Your CNIC

Ap ke CNIC yani shanakhti card par kitni simain register hain? ager ap apne CNIC par simu ki tadad janna chahte hain tou ap simply neeche diye gaye methods ko follow karein.

Aur iske liye do methods hain jin se ap ye maloom kar sakte hain ke apke naam par kitne number register hain chahe wo kisi bhi network ke hun.

SMS ke zariya apke charges lage ge lekin ager ap ke pas internet ki sahoolat majood hai tou ap free of cost internet par apna CNIC number add kar ke bhi maloom kar sakte hain.

Aur ye janna ap ke liye zaruri hai ke ap ke naam kitni simain registered hain aksar logun ko iske baarey main knowledge nahi hota aur ye bohat hi asaan hai.

Iske liye visit karein Click Here is ke baad ap ke samne ek new website open hogi jis ka bohat hi simple interface hoga jismain ap ne sirm apna shanakhti card ka number enter karna hai.

Jaise hi ap apna number enter kar lein ge tou Submit wale option par click kar dein uske baad ap ke naam kitni simain registered hain unki tamam maloomat ap ko mil jaye gi.

Ap ko ye bhi bta diya jaye ga ke kis network ki kitni simain hain for example mere naam Jazz network ki 2 simain hain tou waha Jazz ke samne 2 likha ayega.

Ap ko sirf SIMs ki tadad dikhayi jaye gi iske elavah SIM number show nahi karaya jaye ga. Ye free method hai jis se ap sirf ye maloom kar sakte hain ke ap ke naam kitni simain resgistered hain aur kis network ki hain.

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.
Post a Comment (0)
Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !