Zong Balance Share Code, Charges & Details

0
Ager ap ke pas balance zayada hai ya kisi aur wajah se usey kisi aur number par transfer karna chahte hain tou ye post ap ke liye bohat helpful hone wali hai kyun ke is main tamam un metthods ke barey main ap ko btaya jaye ga jin se ap apna balance share kar sakte hain.

Is post main na sirf Zong balance share code btaya jaye ga balke tamam networks jaisa ke Jazz, Telenor aur Ufone ke barey main bhi information di jaye gi. Har network ka apna ek unique share code hota hai jis ko dial kar ke ap transfer kar sakte hain.

Aur ap ye process free main nahi kar sakte yani iske liye kuch charges lago hote hain jin ki mukamil details ap ko neeche bata di jaye gi aur iske elava ap ek network se dosre network par balance share kar sakte hain ya nahi is barey main bhi ap ko bta diya jaye ga.
Zong Jazz Telenor Ufone Balance Share Code
Ager ap internet istemaal karte hain aur ap ka sare paise kaat liye jate hain tou is post par visit karein Zong Balance Save Code yaha ap ko all network balance save ke barey main code aur other details ke barey main mukamil information mile gi.

Zong balance share karne ka tarika ap ko neeche bata diya jaye ga jise follow kar ke ap easily apna balance share kar sakte hain aur iske elava ager ap Zong user hain aur iske tamam latest internet bundles ke barey main detail se janna chahte hain tou visit karein Zong Internet Package.

(toc)



Zong Balance Share Code

Har network ap ko ye saholat deta hai ke ap apna balance kisi dosre number par transfer kar sakte hain aur is process ke liye kuch charges lago hote hain.

Balance share kya hai aur kya hum apna balance sell kar sakte hain ye question almost sabhi ke mind main ata hai aur iska simple sa answer ye hai ke ager ap ke number par balance majood hai

Aur ap ko uski zarurat nahi ap chahte hain ye balance apne dosre number par bheij diya jaye taa ke ye mobile internet istemaal karte waqt waste na ho ya koi aur wajah se ap wo majooda blnce dosre number par bheijna chahte hain.

Is sarey process ko sharing kahein ge aur iske liye ek specific code hota hai jise dial karne par ap ye service hasil kar sakte hain aur ager ap apna balance Easypaisa ya phir Jazz cash main share/transfer karna chahte hain tou,

Is ke liye koi aisa tarika majood nahi jis ki madad se ap direct code dial kar ke apna fund bheij sake lekin ap apna fund sell kar ke zarur apne paise Easypaisa ya Jazz Cash main mangwa sakte hain.

Ap apne dostu ya social media ka istemaal kar ke apna balance sell kar sakte hain is ke liye aur ye eik bohat hi zabardast method hai.



Description

Zong Yaari Load ki help se Apna balance dosre number par transfer kar sakte hain ya mangwane ke liye request bheij sakte hain. Ye eik behtreen service hai jo ke sirf prepaid sarfeen ke liye hai aur isey hasil karne ke liye ap ko kisi package ko subscribe karne ki zarurat nahin. FATA aur PATA sarfeen is service ke liye eligible nahin hain. Is ke liye ap ke pas kam az kam Rs.5 rupay ka blnce hona zaruri hai. Ap minimum Rs.10 rupay aur maximum Rs.200 rupay bheij sakte hain aur ap din main sirf 5 baar hi transactions kar sakte hain.



Mechanics

  • Dial *829# for Balance Request
  • Dial *828# for Balance Transfer



Terms & Conditions

> Minimum transferable amount is Rs.10
> Maximum transferable amount is Rs.200
> You must have Rs.5 minimum remaining balance in your account after the balance share
> You can make a maximum of 5 transactions per day



Jazz Balance Share Code

Jazz bhi ek bohat hi popular network hai aur mostly loug is network ko internet ke liye istemaal karte hain jaisa ke ap jante hain ke jab bhi hum mobile data istemaal karta hain tou azafi balance automatically kaat liya jata hai.

Aur isi wajah se balance dosre number par transfer kar ke hum apna balance save kar sakte hain ya kisi aur package ko subscribe karne ke liye istemaal kar sakte hain.

Ap ye kaam iski official app Jazz World ka istemaal kar ke bhi kar sakte hain aur saath main ap majooda package ki usage details bhi hasil kar sakte hain bina code dial kiye.

Jazz balance share karne ke liye ap ko eik code aur saath main kuch details enter kar ke bheijna hota hai jis ki ap ko mukamil information neeche mil jaye gi.

Ap bilkul free main apna fund transfer nahi kar sakte is ke liye kuch charges lago hun ge. For example ager ap ke number par Rs.100 majood hain aur ap inhain apne dosre jazz number par bheijna chahte hai tou,

Ap sirf Rs.95 hi bheij sakte hain kyun ke is ke liye ap ke pas charges hona chahiye taa ke ap ko matlooba balnce dosre number par bheija ja sake ager ap complete amount enter karte hain tou ye process nahi hoga.



Description

Ye eik shandaar service hai jis ki madad se ap apna balnce apne dosre Jazz number par ba,asani bheij sakte hain. Ap Rs.15 se lekar Rs.500 tak balance apne dosre number par bheijh sakte hain aur is ke liye transaction limit 5 hai. Yani ap din main maximum 5 baar hi transaction bhiejh sakte hain aur iske liye Rs.4.77 + Tax charges lago hun ge har transaction bheijne par. Amount bheijne ke liye ap *100*03XXXXX*amount# dial karein aur ye bohat hi simple hai. Ap apna number likhein jis par ap paise bheijna chahte hain aur amount likh kar send kar dein ap ka balance bheij diya jaye ga.



Mechanics

  • To share the balance, dial *100*03XXXXX*amount#
  • To check the balance, dial *111#



Terms & Conditions

> Minimum transferable amount is Rs.15 & maximum transferable amount is Rs.500
> Only prepaid customers are eligible for this service
> You must have Rs.5 minimum remaining balance in your account after the balance share
> You can make a maximum of 5 transactions per day

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.
Post a Comment (0)

Order Now! WS-A9 Max Bezel Less display smart watch! Price: 5650/- PKR

Order Now
x