Zong 4G Device Price and Packages Detail

0
Internet ka istemaal almost sabhi karte hain kyun ke ye eik zarurat ban gya hai aur internet ki help se hum bohat se kam online kar sakte hain. Bohat se network ap ko behtreen net packages bhi provide karte hain jinhain ap subscribe kar ke ba,asaani internet istemaal kar sakte hain.

Aur internet ki behtreen speed ke liye mostly loug 4G WiFi devices ka istemaal karte hain ager ap Wifi 4G Device buy karne ka soch rahe hain ya already buy ki hoi hai tou ye post ap ke liye bohat hi helpful hone wali hai.

Ager ap confuse hain ek 4G Wifi device ko le kar yani ap ye soch rahe hain internet istemaal ke liye konsi device buy ki jaye aur kis device ki best performence hai. Ap ke in tamam questions ka answer ap ko neeche detail main btaya jaye ga so, friends post ko last tak zarur parhein.
Zong 4G Devices | Zong Bolt+ Devices | Zong Unlock Device | Zong MBB Device Packages
Aur ager baat ki jaye Wifi ke benefits ki tou iske bohat se faide hain ye ap ko ek behtreen internet speed provide karti hai jaisa ke ap log jante hain ke Pakistan main sabhi areas main signal equal nahi yani kuch jagah par kam signal hai aur kahin zyada. Ye weak signal wale areas ke liye sab se behtreen option hai.

Aur is ke elava jaha users zyada hun waha bhi iski bohat zarurat parti hai ya is tarah keh lein ke ye eik ghar ki zarurat hai. Aur is ke istemaal se apke mobile ki battery bhi kafi bach jati hai ap ko is ke barey main maloom hoga ke data istemaal karte waqt battery bohat jaldi se drain yani khatam ho jati hai.

Ager ap Zong ke prepaid user hain tou Zong Internet Bundles page par visit karein yaha tamam data packages ki mukamil information mile gi. Jinhain ap subscribe kar ke ap internet istemaal kar sakte hain wo bhi bohat hi munasib rate par.




Zong 4G WiFi Device

Jaisa ke ap jante hain ke Zong Bolt+ device main ap prepaid SIM ka istemaal nahi kar sakte sirf postpaid SIM hi Zong MBB device main kaam karti hai aur kuch main prepaid bhi kaam karti hai lekin mostly main postpaid hi work karti hai.

Prepaid aur Postpaid SIM kya hai aur in main kya diference hai? prepaid SIM main ap call SMS aur net packages subscribe kar sakte hain aur isey call wali SIM bhi kehte hain. Postpaid SIM main ap sirf data packages subscribe kar sakte hain iske elava apko extra resources nahi di jati.

Aur postpaid SIM ap device buy karte waqt register krate hain aur aise bhi ye register ho jati hai. Ise Data SIM bhi kaha jata hai kyun ke ye sirf internet ke liye istemaal ki jati hai. Aur is ke packages bhi expensive hote hain as compare to prepaid.

Kya hum prepaid ya other network SIM is main use kar sakte hain? G bilkul ap kar sakte hain lekin iske liye ap ko isey unlock karana hoga uske baad ap is main kisi bhi network ki SIM ba,asaani istemaal kar sakte hain.

Aur ap ise kisi mobile shop se ya phir online unlock kara sakte hain online ke liye ap ke pas computer ka hone zaruri hai otherwise ap online nahi karwa sakte.

Remember, Zong 4G device buy karne par ap ko 1 saal ki warranty di jati hai ager ap apni Zong 4G device unlock krate hain tou ye warranty khatam ho jayegi yani unlock ke baad device main koi problem hone ki surat main ap warranty claim nahi karwa sakte.

Mostly users apni wifi ko unlock karwa kar hi istemaal karte hain kyun ke is se ap kisi bhi network ki SIM ko istemaal kar sakte hain. Zong bolt plus bhi ek behtreen device hai jise ap is tarah se bhi istemaal kar sakte hain.




Zong 4G WiFi Device Price

Ager baat ki jaye in ki price ki tou inki normal price 35 se 45 tak hoti hai is se bhi kam ya zyada ho sakti hai kyun ke in ke rates uper neeche hote rehte hain. Aur iski official qeemat ap iski official website se bhi maloom kar sakte hain click here

Aur ager ap package ke saath ise buy karte hain tou iski price Rs.6000 tak jati hai kyun ke iske pkg ke charges bhi isi main include hote hai aur ise ap bohat asani se chala sakte hain is main koi mushkil baat nahi.

Aur inki 3 types hain jinki mukamil detail aur official price neeche add kar di gayi hai ap in main se koi bhi buy kar sakte hain.

Zong 4G Bolt+ Huawei - Ye eik bohat hi behtreen model raha hai aur ye ek old model hai. Jo users Huawei ki Wifi devices istemaal karte hain unhain is baat ka idea zarur hoga ke ye Wifi 4G devices ke liye No.1 company hai. Aur is ka model No.e5573 hai jiski mazeed malomaat ap Google par bhi deikh sakte hain. Iski official price hai Rs.3600 mazeed malomaat ke liye click here. Ager ap isey unlock kar ke bhi istemaal karein tou ye best performence ap ko de gi aur kisi bhi tarah ka issue nahi ayega almost all is model ki devices asaani se unlock ho jati hain.

Zong 4G Bolt+ Digit - Ager ap long battery chahte hain tou is model ko ap buy kar sakte hain aur ager ap isey unlock karte hain tou ye kharab bhi ho sakti hai is main risk hai lekin ap sirf data sim ke liye isey istemaal karte hain tou ye eik perfect device hai ap ke liye aur iske latestmodel unlock nahi hote. Is ki official price Rs.3600 hai. Mazeed maloomat ke liye click here.

Zong 4G Wingle - Ap isey kisi bhi usb source main laga kar isey istemaal kar sakte hain aur is ke saath zyada se zyada 10 user connect ho sakte hain. Aur iski official price Rs.3600 hai for more detail click here.




Best 4G Unlock Zong Devices

Jab bhi ap device buy karein uske barey main research zarur kar liya karein ager ap unlock device lena chahte kyun ke bohat se model unlock nahi bhi hote yani kuch hi model ko unlock kiya ja sakta hai. Zyada latest model main ye masla ata hai.

Ap iske barey main YouTube par bohat si videos deikh sakte hain aur apni pasand ki device bhi khareed sakte hain. Ager ap unlock ke baghair istemaal karna chahte hain phir tou ap koi bhi device le kar us main data package subscribe kar ke internet istemaal kar sakte hain.

Fastest Internet Device In Pakistan - Almost sabhi devices ki speed achi hoti hai but unlock ke baad kuch devices ki internet speed mumkin hai slow ho jaye is liye jab bhi device kharidein tou Huawei ki hi kharidein ya ZTE. Ap soch rahe hu ge ke hamain kaise pata chale ga ke jo wifi hum ne buy ki hai wo kis company ki hai iska simple sa method ye hai ke ap ne ager company name check karna hai tou battery par deikhein waha ap ko mukamil detail mil jaye gi ya phir jo model ap ne liya hai usey google par search karein ap ko complete inforamtion mil jaye gi uski.

Best Wifi Device In Pakistan - Waise tou sabhi devices behtreen kam karti hain lekin kuch model aise bhi hain jo performence ke hisaab se kafi behtar rahe hain aur long time tak work karte rahe hain ab shaid hi wo model available hu. Zong e5573 aur Telenor e5573 best devices rahi rahein aur inhain asaani se unlock bhi kiya sakta hai. Aur inki performence bhi kafi behtar rahi hai.




Zong 4G WiFi Device Features

Zong Mobile Broadband eik wireless technology hai jis ka use kar ke ap wirelessly apna smartphone, laptop, tablet aur IOT devices ke saath connect kar sakte hain. Zong 4G Bolt+ eik portable device hai jo ke mobile hotspot ki tarah kaam karti hai aur iske saath ap 10-15 users connect kar sakte hain. 

Features:

> Fastest Internet device & its speed up to 150Mbps
> Plug & Play (ap ko is main koi software karne ki zarurat nahi)
> You can connect up to 10-15 users
> This WiFi supports 2.4GHz & 5 MHz bands
> It is a rechargeable device 
> Lithium Battery 1500 mAh (Bolt+ e5573)




Zong 4G MBB Device Packages List

MBB 4G device ke bohat se packages hain jo volume ke hisaab se kam ya zyada hote hain. Ap inhain bohat se tarika se activate kar sakte hain. Aur sab se behtreen method ye hai ke ap iski official app download karein.

Iski official app ka naam MyZong jise istemaal kar ke ap na sirf prepaid aur postpaid bundles subscribe kar sakte hain balke saath main ap current package ki usage details bhi hasil kar sakte hain iske elava aur bhi bohat kuch.

Aur ap Easypaisa app ko bhi istemaal kar sakte hain MBB package ki subscription ke liye aur eik bohat hi asaan method hai jaha se ap easily kisi bhi bundle ki malomaat hasil bhi kar sakte hain aur wohi se package ko subscribe bhi kar sakte hain. Packages ki list ap neeche check kar sakte hain mazeed details janne ke liye click here.

Monthly 65GB - Is bundle ko subscribe kar ke ap pura mahina mobile data istemaal kar sakte hain sirf Rs.2100 main. Is main koi time limit nahi.

Monthly 160GB - Is bundle ki price Rs.2600 hai aur ye eik behtreen offer hai un dosto ke liye jinka data usage zyada hai. Is offer main half data ap 24Hrs istemaal kar sakte hain aur half volume 4am se 4pm tak use kar sakte hain.

Monthly 200GB - Ager data users zyada hain yani internet zyada users istemaal kar rahe hain tou ye mega offer ap ke liye best hai is ke saath ap ko 200GB volume mile ga jis main se 100GB ko ap subha 4am se le kar 4pm tak istemaal kar sakte hain.

3 Month 195GB - Ye offer 3 month ki hogi jis main ap ko har month 65GB volume diya jaye ga volume khatam hone par new volume next month add kar diya jaye ga.

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.
Post a Comment (0)

Order Now! WS-A9 Max Bezel Less display smart watch! Price: 5650/- PKR

Order Now
x